Saturday, October 25, 2008

Hazrat Ali ( RADI ALLAHU ANHO ) K Aqwal

1-Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,
Allah k nazdeeq us nayki se behtar hai
jis se tum main ghuroor paida ho jaye".
( Hazrat ALI R.A )
-----------
2-Kisi ne Hazrat ALI R.A se poocha:
"Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya:
"Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha:
"Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya:
"Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'
-----------
3-Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga
or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga
( Hazrat ALI R.A )
-----------
4-Hazrat ALI R.A Ka Frman Hy:-
"Bura Dost Aag Ki Manind Hy"
"Agr Jalta Hoga To Apko Jala Dega"
"Or Agr Bujha Hoga To Ap K Hath Kale Kr Dega"
-----------
5-Aazmaye Hue Ko Azmana
Bewakufi He.
( Hazrat ALI R.A )
Logon Ki
Zaroraton Ka
Tum Se Wabasta
Hona Tum Per
Allah Ki
Enyat Hai.
(Imam Hussain R.A)
-----------
6-Allah apko Hazrat Ali ki Himmat, Hazrat Umar ki Taqat, Hazrat Usman ki Doulat, Hazrat Abu Bakkar ki Sadaqat, Hazrat Suleman ki Saltanat, Hazrat Yousaf ki Khubsurti, Hazrat Bilal ki Awaz or Hazrat Muhammad (SAW) ki CHAHAT Naseeb Farmaye (Ameen)
-----------
7-Hazrat ALI R.A SAYS
TUMHARE 3 DOST HAIN
1 TUMHARA DOST
2 TUMHARAY DOST KA DOST
3 TUMHARAY DUSHMAN KA DUSHMAN
TUMHARAY 3 DUSHMAN HAIN
1 TUMHARA DUSHMAN
2 TUMHARAY DUSHMAN KA DOST
3 TUMHARAY DOST KA DUSHMAN
-----------
8-Hazrat ALI R.A ne eid k din ro ro k bura haal kar liya.Naye kapre na pehne aur sookhi
roti khane lagey. Kisi ne poocha k aaj to EID hai aap ne koi tayyari nahi ki. Aap ne farmaya k
eid to unki hai jinko ALLAH SUBHAN-A-HU-WA TAALA ne muaf kar dia
-----------
9-Hazrat ALI R.A Says
Apne Dushman Ko 1000 Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost Ban Jaaye
Per Apne Dost Ko 1 Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara Dushman Banay
-----------
10-Jub meri DUA kabol ho tu mein khus hota houn
k is main meri marzi hai aur
Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn
k ye ALLAh ki marzi hai
( Hazrat ALI R.A )
-----------
11-IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI R.A )
-----------
12-Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,
to tum use door se dekh rahe ho,
Ya phir gharoor se dekh rahe ho
( Hazrat ALI R.A )
-----------
13-Ustaad ki maar baap k pyar se achi hai
[HAZRAT LUQMAN (A.S)]
Chand k baghair raat bekar hai, aur ilm k baghair zehan.
[HAZRAT ABU BAKAR(RA)]
Jo tujhey teri khamiyan batayewo tera dost hai.
[HAZRAT UMER (RAA)]
Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.
[HAZRAT ALI (RA)]
-----------
14-Gunah Se Tauba karna wajib Hai Mager Gunah Se Bachna Wajibtar Hai ( Hazrat Abu Barkr R.A ),
Tauba ke Taklef Se Behtr he K Gunah Kia Hi Na Jay ( Hazrat Umar R.A )
gunah kisi na kisi sorat me dil ke parishan rakhta he
(Hazrat Usman)
sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho
( Hazrat ALI R.A )
-----------
15-Mujhe Jannat se ziada
Masjid mein bethna Acha Lagta hai
kyunke
Jannat mein mera NAFS khush ho ga
jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.
Fermaan Hazrat ALI R.A
-----------
16-Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,
K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay
Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,
K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai..
Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai...... ( Hazrat ALI R.A )
-----------
17- Aik Shakhs Ne Hazrat ALI R.A Sey Poocha,
Q: Qarib Kya Hai?
A: Qyamat
Q: Or Qareeb Ter?
A: Maut
Q: Ajeeb Kya HAi?
A: Duniya
Q: Aur Ajeeb Tar?
A: Talib-e-Duniya
Q: Wajib Kya Hai?
A; Toba
Q: Or Wajib Tar?
A: Gunah K Forun Bad Toba
Q: Mushkil Kya Hai?
A: Qaber Mein Utrna
Q: Or Mushkil Tar?
A: Amal K Bagair Utrna
-----------
18-Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya ( Hazrat ALI R.A )
-----------
19-"Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de"( Hazrat ALI R.A )
-----------
20- "2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!
( Hazrat ALI R.A )
-----------
21-Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.
Jab ALLAH Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy.
( Hazrat ALI R.A )
-----------
22-Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.( Hazrat ALI R.A )
-----------
23- Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!
Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate Hain!( Hazrat ALI R.A )
-----------
24- "Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,
yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.."
( Hazrat ALI R.A )
-----------
25-4 Batain Elim Ka NIchour Hain,
1.) ALlah Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.
2.) ALlah Ki Nafermani Itni Karo Jitna Allah K Azaab Per Saber Ker Saktey Ho..
3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,
4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!
( Hazrat ALI R.A )
-----------
26-Buaree main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti hay.( Hazrat ALI R.A )
------------
27-kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.( Hazrat ALI R.A )
------------
28-"Golden Words"
"Her INSAN ki izat aur uss sy mohabat kro,Kion k her INSAN k ander KHUDA ki koi na koi sift zror mojood hoti hai"
( Hazrat ALI R.A )
------------
29-"Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi"... .( Hazrat ALI R.A )
------------
30-Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
( Hazrat ALI R.A )
------------
31-Tum acha karo aur zamzna tum ko bura samjhe
ye tumaray haq main behtar he
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe
( Hazrat ALI R.A )
------------
32-Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
( Hazrat ALI R.A )
------------
33-Bay shak dunya or akhrat ki misal
asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian
hon 1 ko razi karta ha to dosri roth
jati ha
HAZRAT ALI(RA)
------------
34-Agr kisi ka ban'na chahtay ho to pori hakeqat se ban jao... warna,apni zaat mn asi hakeqat peda kr lo k koi hakeqat mn tumhara ban jaye...
(HAZRAT ALI R.A)
------------
35-"Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH degi"...
------------
36-naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se parhaiz karo badi se dor ho jao gai.(Hazrat Ali Radi Allahu Anhu)
------------
37-~¤HAZRAT ALI Radi'Allaho unha)¤~
"Bura Dost Aag Ki Tarah hota hai, Agr Jalta hai to Ap ko bhi Jala Dega Aur agr Bujha huwa hoga to Aap k Hath Kaley kr dega.
------------
38-"Ekhtiyaar, Taqat aur Dolat milnay per log badaltay nahi balkay BENAQAB hotay hain"
Hazrat Ali (RAZI ALLAH TALAH ANHO)
------------
39-"3 kaam kisi k dil main ap ki izat barhatay hain:
1- Salam karna.
2- Kisi ko jagah dena.
3- ASAL NAM SE PUKARNA."
(HAZRAT ALI R.A)
------------
40-HAZRAT ALI Radi'Allah'o'unha said
Buray Insaan ki Sohbat se Perhaiz karo kyun kay woh Talwar ki Tarha hey Jo Dekhney mein Khobsorat aur Asar mein Katarnak hey.
------------
41-Achi zindagi guzar ny k 2 tareeky hain.
¤ Jo pasand hain usay hasil kr lo
ya Phr
¤ Jo hasil hain usay pasand kr lo.
(HAZRAT ALI RADI ALLAHO UNHA)
------------
42-3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge
1.Ghusay wala Durust faisly se
2.Jhoota Izzat se
3.Jald baaz Kamyabi se.
(Hazrat Ali Radi Allahu Anhu)
------------
43-Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai
Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq
(¤Hazrt Ali¤)
------------
44-Tum acha karo aur zamzna tum ko bura samjhe
ye tumaray haq main behtar he
Bajaye es k tum bura karo aur
zamana tum ko acha samjhe
Hazrat Ali A.S
------------
45-Allah k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.
(Hazrat Ali Radi Allahu Anhu, Nuzhat ul Majalis, page 510)
------------
46-GHULAB KA PHOL BNO!KYUNK YEH PHOL US K HATH ME BHI KHUSHBO CHOR DAITA HAI JO ISEY MASAL KAR PHAINK DAITA HAI."HAZRAT ALI A.S"
------------
47-Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai.
(HAZRAT ALI a.s)
------------
48-khush mizaji hamesha khoubsorti ki kami ko pora kar deti hy,
lekin khoubsorti khush mizaji ki kami ko pura nahi kar sakti.
(Hazrat ALI) A.S
------------
49-Agr Tm Usy Na Pa Sako Jise Tm Chahte Ho,Tu Usy Zror Pa Lena Jo Tmhe Chahta Hy
QK Chahne Se, Chahe Jane Ka Ehsas Ziada Khubsurat Hota Hy.
HAZRAT ALI (R.Z)
------------
50-Ikhtiaar, Taaqat Aur Doolat milnay par Log badaltay nahin...
bal k
BENAQAB hotay hain..
Hazrat Ali (A.S)

4 comments:

Bashir Ahmed said...

Aaj hammal ka din hai hisab ka nahi
kal hisab ka din hoga hammal ka nahi

Bashir Ahmed said...

Aaj hamal ka din hai hisab ka nahi
kal hisab ka din hoga hammal ka nahi

Arman said...

dewar ka har ek pattar kua kitna hi chota kyun na ho apni keemat rakta hai

Unknown said...

stimaemanice
kindly upload more