Thursday, October 30, 2008

QARZ

Qarz dene ka sawab

Farmaya Rasool Allah S.A.ne, mai ne Shabe me'raaj may bahisht k darwaze par likha hua dekha k khairaat ka sawaab dus hisse milta hai aur qarz dene ka sawab athatar(78)hisse milta hai.
Qarzdaar ko mohlat dena

Farmaya Rasool Allah SA ne jab tak qarz adaa karne k wa'de ka waqt na aya ho is waqt tak agar kisi ghareeb ko mohlat de to har roz itna sawab milta hai jaise itna rupiya khairaat de diya aur jab is ka waqt aa jaey aur phir mohlat de to har roz aisa sawab milta hai jaise itne rupiye se duugna rupiya roz marrah khairaat kar diya.
Maqrooz k hadye se ehtiyaat

Hazrat Anas R.A.farmate hai k Rasool Allah S.A.ne irshaad farmaaya k jab koi kisi ko qarz de to phir qarz lene wale se koi hadya qabool na karein
Qarz ka wabaal

Huzoor S.A.ne irshaad farmaya k musalmano qarz lene se bacho kyun ki wo raat k waqt ranj wa fikr paida karta hai aur din ko zillat wa khwari main mubtila karta hai.

Hazrat Abdullah bin Umru bin Aas Radiallahu anhuma se rivaayat hai k Rasool S.A.ne irshad farmaaya : Qarz k alawah shahid k saare gunah muaf kar diye jaege.

Hazrat Abu Moosa Ash'ari R.A. Rasool Allah S.A. ka irshaad naqal karte hai k un kabirah gunaho (shirk , zina wagairah) k ba'd jin se Allah T. ne sakhti se mana farmaya hai:sab se bada gunah ye hai k aadmi is haal may marey k is par qarz ho aur is ne adaegi ka intezam na kiya ho.

Hazrat Abu Hurairah R.A. rivayat karte hai k Nabi Kareem S.A.ne irshaad farmaya: Momin ki rooh is k qarze ki wajah se latki rehti hai (raahat wa rehmat ki is manzil tak nahi pahunchti jis ka nek logo se wa'dah hai.) jab tak k is ka qarza na adaa kar diya jaye.

Hazrat Abu Hurairah R.A.rivaayat karte hai k Nabi Kareem S.A.ne irshaad farmaya jo shaks logo se maal (udhaar)le aur is ki niyyat adaa karne ki ho to allah T. is ki taraf se adaa kar dege- aur jo shaks kisi se (udhaar)le aur is ka iraadah hi adaa na karne ka ho to Allah T.is k maal ko zaaya kar dege.

Faedah Allah T. is ki taraf se adaa kardege" ka matlab ye hai k Allah T. udhaar ki adaegi may is ki madad farmaey ge aur agar zindagi may adaa na kar saka to aakhirat may is ki taraf se adaa farma dege." Allah T. is k maal ko zaa'y kar dege" ka matlab ye hai k buri niyyat ki wajah se isey jaani ya maali nuqsan uthana padega.

Hazrat Abdullah bin Ja'far Radi Allahu anhuma rivaayat karte hai k Rasool Allah S.A.ne irshaad farmaya: AllahT.maqruz k saath hai yaha tak k woh apna qarza adaa karein bashartike ye qarza kisi aise kaam k liye na liya gaya ho jo Allah T. ko na pasand hai.

Hazrat Abu Hurairah se rivayat hai k Rasool S.A.ne ek uunt(camel )qarz liya.phir Aap S.A. ne qarze ki adaaegi may is se badi umr wala uunt diya aur irshaad farmaya: tum may sab se behtar log wo hai jo qarz ki adaegi may behtar ho.

No comments: